Ab kay sal kuch aisa karna,
apnay pichlay bara(12) mah kay dukh sukh ka andaza karna
sunehri yaden taza karna
bhoole basrey pal likh lena
phir is beetay huey ik ik pal ka
ik ik moar ka ahata karna
sarey dost ikathey karna
sari muhabbatain hazir karna
aur ilawa in kay dekho,
sarey mausam dhiyaan mein rakhna
phir mauhtat qayas lagana
agar khushee barh jatee hai
tu phir tum ko meree taraf se
aanay wala saal mubarak
aur agar gham barh jaen tu
mat bekaar takleef karna
dekho phir tum aisa karna
meri khushian tum le lena
mujh ko apne gham de dena
Ab ke saal kuch aisa karna ………….
Ab ke sall kuch aisa karna ………….
No comments:
Post a Comment