Google
Free Cute Access Hit Counterアクセスカウンター

Tuesday, December 11, 2007

Mere Khuda.......

Tume na hote
mera Khuda na hota
kisko pujte kisko apna kahete
kis se pyaar karte
agar tume na hote…
kaun humein pyaar kerta,
mujhe meri jaan kehta
agar tume na hote…
Bus mujhe mere Khuda se ek shikayat hai
jab main ruthu wo mujhe manaye
itna haseen hai uska manana
kitna haseen hoga ye mera armaan hai
jo mujhe itna pyaar kerta hai
hum dono ek jaan hain
tum na hote mera khuda na hota
chahne wala na hota
Ab bus ek hi kwaish hai ki
hum dono ka saath hojaye
or ye doorie mit jaaye
kabhie maut aaye to
unki bahawon me dum nikale
suna hai Khuda to sabh ka hota hai
per ye Khuda sirf mera hai or mera hai,
or mere se bahot pyaar kerta hai
tume na hote mera khuda na hota

Tujh bin jindigi udas hei..........

Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Hoo
Sapne Deekha K Deep Bujha Rahe Hooo

Kion Suna Rahe Hoo Aur Ab Kion Tarpa Rahe Hoo
Humari Zindagi Le Ke Kahan Jaa Rahe Hoo

Bata To Doo K Humien Chorh Kar Konsa Sagar Pa Rahe Ho
Sagar To Hi Hai Meri Zindagi Bhii
Ab Kisko Sagar Bana Rahe Hooo
Na Jao Kahien Ke Ab To Hai Andaz E Ravan Aur

Kion Itne Kadam Door Jaa Rahe Hoooo
Pass Ana Hai Mushkil Gar Tera
Mujhe Phir Kion Nahi Bula Rahe Hoo
Mien Pass Ana Chata Hoon Tere

Mujhe Kion Doori Ka Ehsas Dila Rahe Hoo
Kion Door Jaa Rahe Hoo
Kion Muskura Rahe Hoo

Kiya Khush Hoo Tum Bhi Ya Meri Tarah Ansoon Baha Rahe Ho

Dil Mien Kiya Hai Tere Yeh Janta Hoon Mien Bhi
Par Lagta Hai K Tum Bhi Meri Trah Kuch Chupa Rahe Ho
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chor Ke Ja Rahe Ho
Kion Ajj Mujhe Is Gham Mien Ab Aur Tarpa Rahe Ho

Ajana Jaldi Se ,K Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin
Humien To Tum Udass Karke Ja Rahe Hoo
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mien Tarpa Rahe Ho

Ussey Kehna

Ussey Kehna
Ankhon mein jo anso hein hamarey ussey kehna
Dono ka yeh hissa hein piyaare ussey kehna

Tapkey jo teri ankh sey anso ka koi qatra
Nahi dekhney hum ko yeh nazarey ussey kehna

Kutti nahi uss sey bhi shub e hijran tu phir
Ginna karey woh bhi sitarey ussey kehna

Hoti nahi pori kabhi khuwahish koi uss ki
Chul jatey hein dil pe merey arey ussey kehna

Kal raat to chand kuch mayoos sa tha
Aaj woh khud ko na sanwarey ussey kehna

Zindgi ik shaam key saharey mein guzaron
Ik shaam merey sath woh guzrey ussey kehna

Chahat kis kadar tuti hai..........

Chahat kis kadar tuti hai,
Ki aahat bhi na hui hai….

Aab halat kya bataye,
Jab humhe khabar hi na hui hai….

Jo na socha tha kabhi,
anjaame-manjil vahi hui hai….

ahbaab samjha tha jise Kabhi,
mushkil ab usi ko hui hai….

na thi hume jo umeed,
Kabhi vahi aaj hakikat bani hui hai…

Tariff tho karte,
Pal bhar ke liye kabhi…

Ab itni bhi buri meri,
Shaskkiyat bhi naa hui hai..

Saffagoyi hai pasand hume,
Phir bhi uljhi q zindagi meri hui hai…

Yaa khuda bas itna bata de,
Jo naa mangi thi naa chahi thi

Dil se..........

Agar jawab doge to baat karenge! Nahi doge to intezar karenge! DOSTI ki hai aapse isliye marte dam tak aap ko har pal YAAD karenge….

Yaado mai hamari who bhi kohye honge. Khule aakho se kabhi who bi soye honge. Mana hasna hai ada gam chupane ki, par HASTE-HASTE kabhi who bhi roe honge?

Pal Pal tarsii hu is PAL ke liye, Yeh Pal aaya bhi Tha kuch PAL ke liye, Socha tha ise Zindagi ka ek HASIIN Pal banau per Yeh PAL bhi Tehre Kuch Pal ke liye…

Dhur nigaho se bar bar jaya na karo, Dil Ko is tarah tadpaya mat karo, tum bin Ek pal bhi Jee na payenge Hum, Yeh Ehsaas bar bar Dilaya na karo…….

Nazar Andaz kaisa kare Aap ko, Nazaro mai B hai Aapko, Yaad Ane par Roye bhi tho kaise, Darte hai, Jhuki jo Palke tho Chubhegi Aapko………….

Khat ki shuruaat ek chooti si mazak se…Mazak Dard ban jayega yeh malum na tha.. Samjthe the Jisse Hum Aapna “YAAR”… wo “PYAAR” ban jayega Malum na tha…!!

Hum raat ki tanhai mai unhe yaad kiya karte hai aur sitaro se unka zikar kiya karte hai who aaye na aaye khawbo mai fir bhi hum unka intezar kiya karte hai….

Tanhai mai fariad kar sakte hai.. Virane ne ko Aabad kar sakte hai, Kya hua Aapse Mil nahi sakte, Sachhe DILSE Aapko yaad tho kar sakte hai……….

Royegi aakhe Muskurane ke baad, Aayegi raat Din Dhaljane ke baad, O Janewale Zara mud ke Dekh, Shayad Yeh ZINDAGI hii Na Rahe Tere Jaane Ke Baad……….

Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
KÄħH

Koi to hota?

Us Ko Kaisay Choor Doun Kaisi Baatain Kartay Ho
Wo Surat To Phir Surat Hai Wo Naam Bhi Acha Lagta Hai

Few lines for Dost in this comming new year

Khushi bhi doston se hai
Gam bhi doston se hai

Takraar bhi doston se hai
Pyar bhi doston se hai

Roothna bhi doston se hai
Manana bhi doston se hai

Baat bhi doston se hai
Misaal bhi doston se hai

Nasha bhi doston se hai
Shaam bhi doston se hai

Zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai
Zindagi main mulakaat bhi doston se hai

Mohabbat bhi doston se hai
Inaayat bhi doston se hai

Kaam bhi doston se hai
Naam bhi doston se hai

Khyal bhi doston se hai
Armaan bhi doston se hai

Khvab bhi doston se hai
Maahol bhi doston se hai

Yaadein bhi doston se hai
Mulakaatein bhi doston se hai

Sapne bhi doston se hain
Apne bhi doston se hai

Ya yoon kahoon yaro
Apni to duniya hi doston se hai

Naya saal bhi doston se hi hai

A new year wish..........

Ab kay sal kuch aisa karna,
apnay pichlay bara(12) mah kay dukh sukh ka andaza karna
sunehri yaden taza karna
bhoole basrey pal likh lena
phir is beetay huey ik ik pal ka
ik ik moar ka ahata karna
sarey dost ikathey karna
sari muhabbatain hazir karna
aur ilawa in kay dekho,
sarey mausam dhiyaan mein rakhna

phir mauhtat qayas lagana
agar khushee barh jatee hai
tu phir tum ko meree taraf se
aanay wala saal mubarak
aur agar gham barh jaen tu
mat bekaar takleef karna

dekho phir tum aisa karna
meri khushian tum le lena
mujh ko apne gham de dena
Ab ke saal kuch aisa karna ………….
Ab ke sall kuch aisa karna ………….

Naye saal ka yoon aana acha laga

Naye saal ka yoon aana acha laga

Naye saal ka yoon aana acha laga
Tujhe say milnay ka naya intezaar acha laga

Ankhon mein kai khawaab jagnay lage
Teray khawaab ka ankhon mein sajna acha laga

Baat teri hi toh thi magar ghabra ka ekdam
Logon say nazarain churana acha laga

Tujhe say mil kar kitna kuch kahnay ke liye
Dekhtay hi tujhe un shikawon ka bhool jaana acha laga

Es sitamgar ko archana mein kaisay na apna kahoon
Jab bhi aaya khawaab mein who mujhe acha laga.

Dost kehna hi Dosti nahi hoti

Dost kehna hi Dosti nahi hoti
Muskurana hi Khushi nahi hoti,
Umar bitana hi Zindagi nahi hoti,
Khud se bhi zyada khayal rakhna padta hai dosto ka,
Kyoki Dost kehna hi Dosti nahi hoti.

Dosti pe Arz hain….

Dosti koi Farz nahin…Ek Rishta hain yeh.
Raishtey jo Khoon se nahin.. Dil se bandeh.
Dil jo kuch pal ko milen..Milen Jindagi bhar ke liyeh.
Ek Jindagi kabhi poori nahin hoti..Aziz dost ke liyeh.

Salaam-e-ishq

pyaar hai ya saza ae mere dil bata
tootata kyun nahi dard ka silsila
is pyaar mein ho kaise kaise imtihaan
ye pyaar likhe kaisi kaisi daastan
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na koi asar…

ujhe dekh dekh sona
tujhe dekh kar hain jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan haai

mohabbato mein jeene waale khushnaseeb hain,mohabbato mein marne waale bhi ajeeb hain
azeem hai humaari daastaan aye jaaneman
faaslo pe rehte hain fir bhi kareeb hain



Bebasi dard ka aalam....

Bebasi dard ka aalam
Tum mujhe de do apne gham
Khaamoshiyan bhi do, tanhaaiyan bhi do
Bechainiyan bhi de do…de do naa

Bheegi palkon se churaa loonga nami
Rehne doonga na kahin koi kami
Tumko daaman na bheego ne doonga
Ab kabhi tumko na rone doonga

Uljhane gham ki parchhaayi
De do mujhe apni tanhaayi
Gumnaamiyan bhi do, nakaamiyan bhi do
Viraaniyan bhi de do…de do naa

Tere honthon pe saja doonga hasi
Teri raahon mein bichha doonga khushi
Tum mujhe apna maanti ho agar
Yoon khata hoke na jhukao nazar

Mushkile apni majboori
De do mujhe saari benoori
Pareshaanian bhi do, hairaanian bhi do
Nigey baaniyan bhi de do…de do naa

Hasratein hain bahut magar
Tumse main kya kahoon
Leke bahon mein main tumhe
Pyaar karta rahoon

Khwahishein hain bahut magar
Tumse main kya kahoon
Hadh se aage guzar ke bhi
Ab mohabbat karoon

Jaane wafaa, jaane jahaa
Aise adaa, hongi kahaa
Dekhaa sanam, maine tumhe
Behekein mere kadam

Maine kahaa, tumne sunaa
Dhadkan bani, dil ki zubaan
Tanhaa yahaa, hum jo milein
Aane lagaa mazaa