Google
Free Cute Access Hit Counterアクセスカウンター

Monday, November 19, 2007

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho


Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

No comments: