Google
Free Cute Access Hit Counterアクセスカウンター

Monday, November 19, 2007

Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare

Woh dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
Mein tujhe bhool kar zinda rahoon Khuda na kare
Raheyga saath tera pyar zindagi ban kar
Yeh aur baat hai zindagi meri wafa na kare

Yeh theek hai nahee marta koi judaee mein
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare

Suna hai usko muhabbat duaein deti hai
Jo dil pe chot tou khaye magar gila na kare

Zamaana dekh chuka hai parrakh chuka hai ussay
"Qateel" jaan se jaaye per iltijja na kare



Ab rah gaye kaha woh purani moHbatain
Kar rahay hain woh bhi zubani muHbatain

Is rah par chalo to tumHay yaad ye rahay
Hoti nahi hain asaa'n nibhani moHbatain

Har mor har qadam par tumHay yaad aoo ga
Asaa'N nahi hain meri bhulani moHbatain

Dil ka na haal pochiye chehra hi dekhiye
HuM ko bhi agaye hain sajani moHbatain

ApNo se mila kuch nahi to kya huwa ruMaan
HuM ge lay gay lakay begani moHbatain


Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi


Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi


Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili,
Laga Tumahari Ek Aahat Si Mili
Jaake Dekha Jab Dar Pe,
To Phir Wahi Kafir Hawa Mili



Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
Khuda kare aisi shaam na aaye....
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
Afsaana likhnu aur tera naam ma aaye.

No comments: